pichhe paDa ghanim ka lashkar hai kya karen
pīchhe paḌā ġhanīm kā lashkar hai kyā kareñ
be-mo.ajiza 'asā hai samundar hai kyā kareñ
haañ dast-e-ehtiyāt meñ ḳhanjar hai kyā kareñ
dushman hamārī zaat ke andar hai kyā kareñ
lāzim huā hai tīsha-e-dil kā sambhālnā
har dast-e-yār-e-ġhār meñ patthar hai kyā kareñ
us ruḳh se ab kisī tarah haTtī nahīñ nazar
vo sab se is jahān meñ haT kar hai kyā kareñ
qad-āvarī hai aur kaḌī dhuup kā hai qahr
ye ātishīñ-chinār muqaddar hai kyā kareñ
raste nahīñ haiñ raat kī haiñ dhajjiyāñ tamām
har sū shikast-e-zāt kā manzar hai kyā kareñ
pichhe paDa ghanim ka lashkar hai kya karen
be-moajiza 'asa hai samundar hai kya karen
han dast-e-ehtiyat mein KHanjar hai kya karen
dushman hamari zat ke andar hai kya karen
lazim hua hai tisha-e-dil ka sambhaalna
har dast-e-yar-e-ghaar mein patthar hai kya karen
us ruKH se ab kisi tarah haTti nahin nazar
wo sab se is jahan mein haT kar hai kya karen
qad-awari hai aur kaDi dhup ka hai qahr
ye aatishin-chinar muqaddar hai kya karen
raste nahin hain raat ki hain dhajjiyan tamam
har su shikast-e-zat ka manzar hai kya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.