pile pile chehron mein ubhri hai aaj ki sham
piile piile chehroñ meñ ubhrī hai aaj kī shaam
kar saktā huuñ kyūñkar maiñ ye shaam tumhāre naam
sail-e-zamāñ meñ Duub ga.e mash.hūr-e-zamāna log
vaqt ke munsif ne kab rakkhā qaa.em un kā naam
shohrat-e-ām meñ zarrīñ tamġhe the dil kī taskīn
lekin qabr ke katbe par kab darj hue in.aam
jashn-e-muravvat meñ logoñ kī ūñchī uḌī patañg
marg-e-muravvat meñ un sab kā 'anvar' royā naam
pile pile chehron mein ubhri hai aaj ki sham
kar sakta hun kyunkar main ye sham tumhaare nam
sail-e-zaman mein Dub gae mashhur-e-zamana log
waqt ke munsif ne kab rakkha qaem un ka nam
shohrat-e-am mein zarrin tamghe the dil ki taskin
lekin qabr ke katbe par kab darj hue inam
jashn-e-murawwat mein logon ki unchi uDi patang
marg-e-murawwat mein un sab ka 'anwar' roya nam
- Book : Prinda Safar men (Pg. 45)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.