pina nahin haram, hai zahr-e-wafa ki shart
piinā nahīñ harām, hai zahr-e-vafā kī shart
aao uThā deñ aaj mai-e-jāñ-fazā kī shart
shorīdgi-e-sar ke liye sañg-e-dar kī qaid
zanjīr-e-ġham ke vāste zulf-e-dotā kī shart
ho dopahar kī dhuup to palkoñ ke sā.ebāñ
rāteñ guzārnī hoñ to kaalī balā kī shart
ye kyā zarūr ho mizha-e-ishq ḳhūñ-fishāñ
kyuuñ dast-e-nāz ke liye rañg-e-hinā kī shart
har dil-figār ke liye kyuuñ chāk-e-pairahan
har dil-navāz ke liye band-e-qabā kī shart
kyā farz hai ki ham bhī baneñ qais-e-āmirī
rāh-e-junūñ meñ kyuuñ ho kisī naqsh-e-pā kī shart
kyuuñ dil ke toḌne ko kaheñ rasm-e-dilbarī
kyuuñ ho kisī se vāda-e-sabr-āzmā kī shart
kyuuñ ho kisī ko kūcha-e-qātil kī justujū
kyuuñ imtihāñ ke vāste teġh-e-jafā kī shart
kyuuñ zindagī ko jabr-e-musalsal kā naam deñ
kyuuñ ārzū-e-maut ko dast-e-duā kī shart
kyuuñ har ghaḌī zabāñ pe ho jurm-o-sazā kā zikr
kyuuñ har amal kī fikr meñ ḳhauf-e-ḳhudā kī shart
ham ne ḳhud apne-āp zamāne kī sair kī
ham ne qubūl kī na kisī rahnumā kī shart
pina nahin haram, hai zahr-e-wafa ki shart
aao uTha den aaj mai-e-jaan-faza ki shart
shoridgi-e-sar ke liye sang-e-dar ki qaid
zanjir-e-gham ke waste zulf-e-dota ki shart
ho dopahar ki dhup to palkon ke saeban
raaten guzarni hon to kali bala ki shart
ye kya zarur ho mizha-e-ishq KHun-fishan
kyun dast-e-naz ke liye rang-e-hina ki shart
har dil-figar ke liye kyun chaak-e-pairahan
har dil-nawaz ke liye band-e-qaba ki shart
kya farz hai ki hum bhi banen qais-e-amiri
rah-e-junun mein kyun ho kisi naqsh-e-pa ki shart
kyun dil ke toDne ko kahen rasm-e-dilbari
kyun ho kisi se wada-e-sabr-azma ki shart
kyun ho kisi ko kucha-e-qatil ki justuju
kyun imtihan ke waste tegh-e-jafa ki shart
kyun zindagi ko jabr-e-musalsal ka nam den
kyun aarzu-e-maut ko dast-e-dua ki shart
kyun har ghaDi zaban pe ho jurm-o-saza ka zikr
kyun har amal ki fikr mein KHauf-e-KHuda ki shart
hum ne KHud apne-ap zamane ki sair ki
hum ne qubul ki na kisi rahnuma ki shart
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 72)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.