pine pe laga kar pabandi dushnam ki baaten karte hain
pine pe laga kar pabandi dushnam ki baaten karte hain
Ehsan Akhtar Ghazipuri
MORE BYEhsan Akhtar Ghazipuri
piine pe lagā kar pābandī dushnām kī bāteñ karte haiñ
ye zāhid-o-ābid masjid meñ ḳhud jaam kī bāteñ karte haiñ
kyoñ aaj haiñ vo ghabrā.e hue ilzām kī bāteñ karte haiñ
āġhāz-e-mohabbat se pahle anjām kī bāteñ karte haiñ
jab merī vafā mashkūk nahīñ phir baat ye kaisī hotī hai
mahfil meñ bulā kar āḳhir kyoñ ilzām kī bāteñ karte haiñ
kyā ġhuncha-o-gul se nisbat hai be-kār hai zīnat gulshan kī
kāñToñ pe basar karne vaale ārām kī bāteñ karte haiñ
jab rāz-e-mohabbat khulne se tauhīn-e-mohabbat hotī hai
kyoñ ashk-e-nadāmat āñkhoñ meñ ilzām kī bāteñ karte haiñ
kis tarah guzāre hijr kā din ye baat na pūchho 'aḳhtar' se
vo sub.h kī bāteñ kyā jāneñ jo shaam kī bāteñ karte haiñ
pine pe laga kar pabandi dushnam ki baaten karte hain
ye zahid-o-abid masjid mein KHud jam ki baaten karte hain
kyon aaj hain wo ghabrae hue ilzam ki baaten karte hain
aaghaz-e-mohabbat se pahle anjam ki baaten karte hain
jab meri wafa mashkuk nahin phir baat ye kaisi hoti hai
mahfil mein bula kar aaKHir kyon ilzam ki baaten karte hain
kya ghuncha-o-gul se nisbat hai be-kar hai zinat gulshan ki
kanTon pe basar karne wale aaram ki baaten karte hain
jab raaz-e-mohabbat khulne se tauhin-e-mohabbat hoti hai
kyon ashk-e-nadamat aankhon mein ilzam ki baaten karte hain
kis tarah guzare hijr ka din ye baat na puchho 'aKHtar' se
wo subh ki baaten kya jaanen jo sham ki baaten karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.