piri se mera nau digar-haal hua hai
piirī se mirā nau digar-hāl huā hai
vo qad jo alif sā thā so ab daal huā hai
maqbūl mire qaul se qavvāl huā hai
suufī ko ġhazal sun ke mirī haal huā hai
un hāthoñ kī daulat se kaḌā maal huā hai
un paañv se āvāz-e-ḳhalḳhāl huā hai
alminnat o lillāh ba-sad-minnat udhar se
inkār thā jis shai kā ab iqbāl huā hai
jab qatl kiyā hai kisī āshiq ko to vaañ se
jallād kī talvār ko rūmāl huā hai
kis uqde ko is zulf kī kholā nahīñ ham ne
suljhāyā hai uljhā huā jo baal huā hai
kis sar ko nahīñ yaar kī raftār kā saudā
me.arāj vo samjhā hai jo pāmāl huā hai
bīmār rahā barsoñ maiñ īsā-nafasoñ meñ
pūchhā na kisī ne kabhī kyā haal huā hai
ai abr-e-karam tū hī safed us ko karegā
barsoñ meñ siyah nāma-e-a.amāl huā hai
jo naaz kare yaar sazā-vār hai 'ātish'
ḳhush-rū o ḳhush-uslūb o ḳhush-iqbāl huā hai
piri se mera nau digar-haal hua hai
wo qad jo alif sa tha so ab dal hua hai
maqbul mere qaul se qawwal hua hai
sufi ko ghazal sun ke meri haal hua hai
un hathon ki daulat se kaDa mal hua hai
un panw se aawaz-e-KHalKHal hua hai
alminnat o lillah ba-sad-minnat udhar se
inkar tha jis shai ka ab iqbaal hua hai
jab qatl kiya hai kisi aashiq ko to wan se
jallad ki talwar ko rumal hua hai
kis uqde ko is zulf ki khola nahin hum ne
suljhaya hai uljha hua jo baal hua hai
kis sar ko nahin yar ki raftar ka sauda
mearaj wo samjha hai jo pamal hua hai
bimar raha barson main isa-nafason mein
puchha na kisi ne kabhi kya haal hua hai
ai abr-e-karam tu hi safed us ko karega
barson mein siyah nama-e-amal hua hai
jo naz kare yar saza-war hai 'atish'
KHush-ru o KHush-uslub o KHush-iqbaal hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.