pitam ke dekhne ke tamasha ko jaen chal
pītam ke dekhne ke tamāshā ko jaa.eñ chal
apne piyā ko ishq suuñ apne rijhā.eñ chal
jalsa kiyā hai yaar mahal meñ jalī ke aaj
ḳhalvat meñ ab ḳhafī ke piyā ko bulā.eñ chal
parvā nahīñ piyā ko kisī ke visāl suuñ
fan suuñ usī ke us ko apas meñ rijhā.eñ chal
dam kā surūd kar ke irāde kā taar bāñdh
satrī sadā kā suur bajā kar sunā.eñ chal
nāsūt se guzar ke tafarroh suuñ ai 'alīm'
lāhūt ke makāñ meñ sadā ġhul machā.eñ chal
pitam ke dekhne ke tamasha ko jaen chal
apne piya ko ishq sun apne rijhaen chal
jalsa kiya hai yar mahal mein jali ke aaj
KHalwat mein ab KHafi ke piya ko bulaen chal
parwa nahin piya ko kisi ke visal sun
fan sun usi ke us ko apas mein rijhaen chal
dam ka surud kar ke irade ka tar bandh
satri sada ka sur baja kar sunaen chal
nasut se guzar ke tafarroh sun ai 'alim'
lahut ke makan mein sada ghul machaen chal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.