piw ke aane ka waqt aaya hai
piiv ke aane kā vaqt aayā hai
jī ke jaane kā vaqt aayā hai
nīm-bismil huuñ teġh-e-abrū siiñ
tilmilāne kā vaqt aayā hai
shab-e-ḳhalvat meñ us parī-rū kuuñ
dukh sunāne kā vaqt aayā hai
mulk-e-vīrān kuuñ mire dil ke
phir basāne kā vaqt aayā hai
kab talak hijr kī agan meñ jalūñ
aa bujhāne kā vaqt aayā hai
piiv ke ġham meñ anjho bahātā huuñ
kyā bahāne kā vaqt aayā hai
misl-e-parvāna sham.a-rū pe 'sirāj'
dil jalāne kā vaqt aayā hai
piw ke aane ka waqt aaya hai
ji ke jaane ka waqt aaya hai
nim-bismil hun tegh-e-abru sin
tilmilane ka waqt aaya hai
shab-e-KHalwat mein us pari-ru kun
dukh sunane ka waqt aaya hai
mulk-e-viran kun mere dil ke
phir basane ka waqt aaya hai
kab talak hijr ki agan mein jalun
aa bujhane ka waqt aaya hai
piw ke gham mein anjho bahata hun
kya bahane ka waqt aaya hai
misl-e-parwana shama-ru pe 'siraj'
dil jalane ka waqt aaya hai
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 678)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.