pindar-e-shab-e-gham ka darbar salamat hai
pindār-e-shab-e-ġham kā darbār salāmat hai
par sham-e-farozāñ kā inkār salāmat hai
ā.īn-e-zabāñ-bandī zindāñ pe nahīñ laagū
zanjīr salāmat hai jhankār salāmat hai
tum pā-ba-shikasta bhī afrāz-sarī dekho
dastūr salāmat hai dastār salāmat hai
nashsha nahīñ paimāna āñkheñ nahīñ dil dekho
miqdār salāmat hai me.aar salāmat hai
ab jo bhī nahīñ baaqī be-vaj.h nahīñ baaqī
ab jo bhī salāmat hai be-kār salāmat hai
pindar-e-shab-e-gham ka darbar salamat hai
par sham-e-farozan ka inkar salamat hai
aain-e-zaban-bandi zindan pe nahin lagu
zanjir salamat hai jhankar salamat hai
tum pa-ba-shikasta bhi afraaz-sari dekho
dastur salamat hai dastar salamat hai
nashsha nahin paimana aankhen nahin dil dekho
miqdar salamat hai mear salamat hai
ab jo bhi nahin baqi be-wajh nahin baqi
ab jo bhi salamat hai be-kar salamat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.