pinjre mein bhi dar rakhna
pinjre meñ bhī dar rakhnā
ūñchā apnā sar rakhnā
laakh raho bāhar lekin
bhītar apnā ghar rakhnā
pyaar karoge to sīkho
siine par patthar rakhnā
ye jo apne bante haiñ
in par ḳhaas nazar rakhnā
lauTānī bhī hai ik din
ujlī ye chādar rakhnā
pinjre mein bhi dar rakhna
uncha apna sar rakhna
lakh raho bahar lekin
bhitar apna ghar rakhna
pyar karoge to sikho
sine par patthar rakhna
ye jo apne bante hain
in par KHas nazar rakhna
lauTani bhi hai ek din
ujli ye chadar rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.