piya ke nayan mein bahut chhand hai
piyā ke nayan meñ bahut chhand hai
o vū zulf meñ jiiv kā ānand hai
sajan yuuñ miThā.ī suuñ bole bachan
ki us ḳhush bachan meñ lazat qand hai
mohan ke o do gaal tashbīh meñ
suraj ek duujā so juuñ chand hai
naval mukh suhe husn kā phūlban
nayan mrig hor zulf us phañd hai
uu kisvat the jiiv baas mahke sadā
tū uu baas nāriyāñ kā dil-band hai
piyā kuuñ bulā liyā.e huuñ ap mandir
dutan man meñ us the haman dañd hai
nabī sadqe 'qubtā' kuuñ ap sej lyaa.ī
to chauñdhar ḳhushyāñ hor ānand hai
piya ke nayan mein bahut chhand hai
o wu zulf mein jiw ka aanand hai
sajan yun miThai sun bole bachan
ki us KHush bachan mein lazat qand hai
mohan ke o do gal tashbih mein
suraj ek duja so jun chand hai
nawal mukh suhe husn ka phulban
nayan mrig hor zulf us phand hai
u kiswat the jiw bas mahke sada
tu u bas nariyan ka dil-band hai
piya kun bula liyae hun ap mandir
dutan man mein us the haman dand hai
nabi sadqe 'qubta' kun ap sej lyai
to chaundhar KHushyan hor aanand hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.