piya tuj ishq kun deti hun sud-bud haur jiyo dil mein
piya tuj ishq kun deti hun sud-bud haur jiyo dil mein
Quli Qutub Shah
MORE BYQuli Qutub Shah
piyā tuj ishq kuuñ detī huuñ sud-bud haur jiyo dil meñ
hunūz yak hoke na.iiñ miltā kise bolūñ tū mushkil meñ
ḳhushī ke āñjhvāñ setī bharā.ī samdārāñ sā to
ki shah ke vasl kī daulat girī durganj hāsil meñ
bhañvar kaalā kiyā hai bhes tere mukh kamal ke ta.iiñ
vale is bhañvre the tere pīrat meñ huiiñ kāmil meñ
azal the sā.īñ kā dil hor merā dil ke haiñ ek
bichhaḌ kar kyuuñ rahūñ aise jīvan pyāre the yak til meñ
nabī sadqe rayan saarī do tan juuñ sham.a jaltī thī
jo taare ke naman rahī thī 'qutub' shah chāñd suuñ mil meñ
piya tuj ishq kun deti hun sud-bud haur jiyo dil mein
hunuz yak hoke nain milta kise bolun tu mushkil mein
KHushi ke aanjhwan seti bharai samdaran sa to
ki shah ke wasl ki daulat giri durganj hasil mein
bhanwar kala kiya hai bhes tere mukh kamal ke tain
wale is bhanwre the tere pirat mein huin kaamil mein
azal the sain ka dil hor mera dil ke hain ek
bichhaD kar kyun rahun aise jiwan pyare the yak til mein
nabi sadqe rayan sari do tan jun shama jalti thi
jo tare ke naman rahi thi 'qutub' shah chand sun mil mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.