piyo ki ma-hasal-e-hosh kis ne dekha hai
piyo ki mā-hasal-e-hosh kis ne dekhā hai
tamām vahm-o-gumāñ hai tamām dhokā hai
na kyuuñ ho sāhib-e-jām-e-jahāñ-numā ko hasad
sharāb se mujhe apnā surāġh miltā hai
kisī ne ḳhvāb ke reze palak palak chun kar
jo shāhkār banāyā hai TuuT saktā hai
maiñ intizār karūñgā agar mirī fariyād
abhī sukūt-ba-gulshan, sadā-ba-sahrā hai
yahī savāb hai kyā kam mirī riyāzat kā
ki ek ḳhalq tire naam se shanāsā hai
zahe-nasīb ki us ko mirā ḳhayāl aayā
magar ye baat haqīqat nahīñ tamannā hai
gunāhgār huuñ ai mādar-e-adam mujh ko
bilak bilak ke tire bāzuoñ meñ ronā hai
ḳhamīr ek hai sab kā to ai zamīn ai maañ
zabān-o-maz.hab-o-qaum-o-vatan ye sab kyā hai
ġhalat sahī magar āsāñ nahīñ ki ye nukta
kisī hakīm ne apne lahū se likkhā hai
payambaroñ ko utārā gayā thā qaumoñ par
ḳhudā ne mujh pe magar qaum ko utārā hai
piyo ki ma-hasal-e-hosh kis ne dekha hai
tamam wahm-o-guman hai tamam dhoka hai
na kyun ho sahib-e-jam-e-jahan-numa ko hasad
sharab se mujhe apna suragh milta hai
kisi ne KHwab ke reze palak palak chun kar
jo shahkar banaya hai TuT sakta hai
main intizar karunga agar meri fariyaad
abhi sukut-ba-gulshan, sada-ba-sahra hai
yahi sawab hai kya kam meri riyazat ka
ki ek KHalq tere nam se shanasa hai
zahe-nasib ki us ko mera KHayal aaya
magar ye baat haqiqat nahin tamanna hai
gunahgar hun ai madar-e-adam mujh ko
bilak bilak ke tere bazuon mein rona hai
KHamir ek hai sab ka to ai zamin ai man
zaban-o-mazhab-o-qaum-o-watan ye sab kya hai
ghalat sahi magar aasan nahin ki ye nukta
kisi hakim ne apne lahu se likkha hai
payambaron ko utara gaya tha qaumon par
KHuda ne mujh pe magar qaum ko utara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.