Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ponchh kar ashk apni aankhon se muskurao to koi baat bane

Sahir Ludhianvi

ponchh kar ashk apni aankhon se muskurao to koi baat bane

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    poñchh kar ashk apnī āñkhoñ se muskurāo to koī baat bane

    sar jhukāne se kuchh nahīñ hogā sar uThāo to koī baat bane

    zindagī bhīkh meñ nahīñ miltī zindagī baḌh ke chhīnī jaatī hai

    apnā haq sang-dil zamāne se chhīn paao to koī baat bane

    rang aur bhed zaat aur maz.hab jo bhī ho aadmī se kamtar hai

    is haqīqat ko tum bhī merī tarah maan jaao to koī baat bane

    nafratoñ ke jahāñ meñ ham ko pyaar bastiyāñ basānī hai

    duur rahnā koī kamāl nahīñ paas aao to koī baat bane

    ponchh kar ashk apni aankhon se muskurao to koi baat bane

    sar jhukane se kuchh nahin hoga sar uThao to koi baat bane

    zindagi bhikh mein nahin milti zindagi baDh ke chhini jati hai

    apna haq sang-dil zamane se chhin pao to koi baat bane

    rang aur bhed zat aur mazhab jo bhi ho aadmi se kamtar hai

    is haqiqat ko tum bhi meri tarah man jao to koi baat bane

    nafraton ke jahan mein hum ko pyar ki bastiyan basani hai

    dur rahna koi kamal nahin pas aao to koi baat bane

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now