prem pujari dil ko mere tohfa ye anmol diya
prem pujārī dil ko mere tohfa ye anmol diyā
us ne chāhat ke pyāle meñ vish nafrat kā ghol diyā
kaisī qasmeñ kaise va.ade aur kaisā paimān-e-vafā
pyaar ko mere daulat kī mīzān pe us ne taul diyā
kab tak tanhā tanhā jiite kab tak dil ko samjhāte
jism se apne bāñdhā thā jo saañs kā bandhan khol diyā
is se achchhā thā bik jaate ham bhī sastī qīmat meñ
ham ne apnā fan duniyā ko be-bhāv be-mol diyā
aaheñ aañsū yaas kasak be-tābī-e-dil aur mahrūmī
mere dilbar ne mujh ko ye mere dil kā mol diyā
galiyoñ galiyoñ shahroñ shahroñ kis ne aag lagā.ī hai
buġhz-o-nafrat kā duniyā ko kis ne ye māhaul diyā
dil meñ ik halchal sī bapā hai nas nas meñ haijān 'salīm'
jaane kis ne kaan meñ aa ke ḳhushiyoñ kā ras ghol diyā
prem pujari dil ko mere tohfa ye anmol diya
us ne chahat ke pyale mein wish nafrat ka ghol diya
kaisi qasmen kaise wade aur kaisa paiman-e-wafa
pyar ko mere daulat ki mizan pe us ne taul diya
kab tak tanha tanha jite kab tak dil ko samjhate
jism se apne bandha tha jo sans ka bandhan khol diya
is se achchha tha bik jate hum bhi sasti qimat mein
hum ne apna fan duniya ko be-bhaw be-mol diya
aahen aansu yas kasak be-tabi-e-dil aur mahrumi
mere dilbar ne mujh ko ye mere dil ka mol diya
galiyon galiyon shahron shahron kis ne aag lagai hai
bughz-o-nafrat ka duniya ko kis ne ye mahaul diya
dil mein ek halchal si bapa hai nas nas mein haijaan 'salim'
jaane kis ne kan mein aa ke KHushiyon ka ras ghol diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.