pukara jab kisi ne yaad aai
pukārā jab kisī ne yaad aa.ī
dhaḌak tujh meñ dil-e-barbād aa.ī
bahut pahle khañDar ho bhī chukī thī
vo duniyā jo nazar ābād aa.ī
jahāñ āvāz uThānā bhī thā mamnūa
mirī dhaḌkan hī ban kar naad aa.ī
koī shikva laboñ se ho na paayā
sabhī zulmoñ pe merī daad aa.ī
hameñ mālūm haiñ us ke Thikāne
havā meñ ghul ke jo fariyād aa.ī
abhī to ishq ko sochā thā us ne
abhī hī naukrī kī yaad aa.ī
pukara jab kisi ne yaad aai
dhaDak tujh mein dil-e-barbaad aai
bahut pahle khanDar ho bhi chuki thi
wo duniya jo nazar aabaad aai
jahan aawaz uThana bhi tha mamnua
meri dhaDkan hi ban kar nad aai
koi shikwa labon se ho na paya
sabhi zulmon pe meri dad aai
hamein malum hain us ke Thikane
hawa mein ghul ke jo fariyaad aai
abhi to ishq ko socha tha us ne
abhi hi naukri ki yaad aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.