pukarta hai magar dhyan mein nahin aata
pukārtā hai magar dhyān meñ nahīñ aatā
ajiib harf hai imkān meñ nahīñ aatā
bas ek naam hai apnā nishāñ jo yaad nahīñ
aur ek chehra jo pahchān meñ nahīñ aatā
maiñ gosha-gīr huñ sadiyoñ se apne hujre meñ
masāf-e-bai.at-o-paimān meñ nahīñ aatā
mujhe bhī hukm nahīñ shahr se nikalne kā
mirā harīf bhī maidān meñ nahīñ aatā
maiñ is hujūm meñ kyuuñ is qadar akelā huñ
ki jam.a ho ke bhī mīzān meñ nahīñ aatā
mire ḳhudā mujhe is aag se nikāl ki tū
samajh meñ aatā hai īqān meñ nahīñ aatā
pukarta hai magar dhyan mein nahin aata
ajib harf hai imkan mein nahin aata
bas ek nam hai apna nishan jo yaad nahin
aur ek chehra jo pahchan mein nahin aata
main gosha-gir hun sadiyon se apne hujre mein
masaf-e-baiat-o-paiman mein nahin aata
mujhe bhi hukm nahin shahr se nikalne ka
mera harif bhi maidan mein nahin aata
main is hujum mein kyun is qadar akela hun
ki jama ho ke bhi mizan mein nahin aata
mere KHuda mujhe is aag se nikal ki tu
samajh mein aata hai iqan mein nahin aata
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 41)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.