pukarte pukarte sada hi aur ho gai
pukārte pukārte sadā hī aur ho ga.ī
qubūl hote hote har duā hī aur ho ga.ī
zarā sā ruk ke do-ghaḌī chaman pe kyā nigāh kī
badal gayā mizāj-e-gul havā hī aur ho ga.ī
ye kis ke naam kī tapish se por por jal uThe
hatheliyāñ mahak ga.iiñ hinā hī aur ho ga.ī
ḳhizāñ ne apne naam kī ridā jo gul pe Daal dī
chaman kā rañg uḌ gayā sabā hī aur ho ga.ī
ġhurūr-e-āftāb se zamīñ kā dil saham gayā
tamām bārisheñ thamīñ ghaTā hī aur ho ga.ī
ḳhamoshiyoñ ne zer-e-lab ye kyā kahā ye kyā sunā
ki kā.enāt-e-ishq kī adā hī aur ho ga.ī
jo vaqt mehrbāñ huā to ḳhaar phuul ban ga.e
ḳhizāñ kī zard zard sī qabā hī aur ho ga.ī
varaq varaq 'alīnā' ham ne zindagī se yuuñ rañgā
ki kātib-e-nasīb kī razā hī aur ho ga.ī
pukarte pukarte sada hi aur ho gai
qubul hote hote har dua hi aur ho gai
zara sa ruk ke do-ghaDi chaman pe kya nigah ki
badal gaya mizaj-e-gul hawa hi aur ho gai
ye kis ke nam ki tapish se por por jal uThe
hatheliyan mahak gain hina hi aur ho gai
KHizan ne apne nam ki rida jo gul pe Dal di
chaman ka rang uD gaya saba hi aur ho gai
ghurur-e-aftab se zamin ka dil saham gaya
tamam barishen thamin ghaTa hi aur ho gai
KHamoshiyon ne zer-e-lab ye kya kaha ye kya suna
ki kaenat-e-ishq ki ada hi aur ho gai
jo waqt mehrban hua to KHar phul ban gae
KHizan ki zard zard si qaba hi aur ho gai
waraq waraq 'alina' hum ne zindagi se yun ranga
ki katib-e-nasib ki raza hi aur ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.