pur-kaif ziyaen hoti hain pur-nur ujale hote hain
pur-kaif ziyā.eñ hotī haiñ pur-nūr ujāle hote haiñ
jab ḳhāk-basar dil hotā hai aur arsh pe naale hote haiñ
hañste haiñ dahān-e-zaḳhm se ham gaate haiñ fuġhāñ ke barbat par
āshufta-saroñ kī duniyā ke sab Dhañg nirāle hote haiñ
kyā qahr barastā hai dil par sāvan kī shaboñ meñ kyā kahiye
kuchh dard kī phuvāreñ hotī haiñ kuchh yaas ke jhāle hote haiñ
in ujḌe hue armānoñ ko kis shauq se dil ne sīñchā thā
barbād magar hote haiñ vahī jo naam ke paale hote haiñ
chāhat ke sitam bardāsht kareñ mar mar ke ji.eñ aur mar na sakeñ
kyā jāniye kis miTTī ke bane ye chāhne vaale hote haiñ
dil tañg na ho ai rah-rav-e-ġham kāñToñ ke liye to kam se kam
mānind-e-naved-e-abr-e-karam ye paañv ke chhāle hote haiñ
uf-re vo nazākat lahje kī bāteñ jo nikaltī haiñ muñh se
yā chāñd kī kirneñ hotī haiñ yā barf ke gaale hote haiñ
ye dard-e-junūñ ye soz-e-jigar in kaifiyatoñ ke gird 'aḳhtar'
tasḳhīr ke halqe hoñ ki na hoñ taqdīs ke haale hote haiñ
pur-kaif ziyaen hoti hain pur-nur ujale hote hain
jab KHak-basar dil hota hai aur arsh pe nale hote hain
hanste hain dahan-e-zaKHm se hum gate hain fughan ke barbat par
aashufta-saron ki duniya ke sab Dhang nirale hote hain
kya qahr barasta hai dil par sawan ki shabon mein kya kahiye
kuchh dard ki phuwaren hoti hain kuchh yas ke jhaale hote hain
in ujDe hue armanon ko kis shauq se dil ne sincha tha
barbaad magar hote hain wahi jo nam ke pale hote hain
chahat ke sitam bardasht karen mar mar ke jien aur mar na saken
kya jaaniye kis miTTi ke bane ye chahne wale hote hain
dil tang na ho ai rah-raw-e-gham kanTon ke liye to kam se kam
manind-e-nawed-e-abr-e-karam ye panw ke chhaale hote hain
uf-re wo nazakat lahje ki baaten jo nikalti hain munh se
ya chand ki kirnen hoti hain ya barf ke gale hote hain
ye dard-e-junun ye soz-e-jigar in kaifiyaton ke gird 'aKHtar'
tasKHir ke halqe hon ki na hon taqdis ke haale hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.