pur-kashish jalwa-e-jaanan hai KHuda KHair kare
pur-kashish jalva-e-jānāñ hai ḳhudā ḳhair kare
jiite jī maut kā sāmāñ hai ḳhudā ḳhair kare
husn-e-be-parda ḳhirāmāñ hai ḳhudā ḳhair kare
ik na.e hashr kā sāmāñ hai ḳhudā ḳhair kare
naġhma-e-zīst kī be-sāḳhta lai ko sun kar
dard phir silsila-jumbāñ hai ḳhudā ḳhair kare
har ishārā na.e afkār kā ā.īna hai
har suḳhan uqda-e-pechāñ hai ḳhudā ḳhair kare
jaane kis rang pe aa jaa.e mirā josh-e-junūñ
āmad-e-fasl-e-bahārāñ hai ḳhudā ḳhair kare
jis tasavvur se ki ghabrā.ī thī merī fitrat
phir vahī ḳhvāb-e-pareshāñ hai ḳhudā ḳhair kare
iltibās aap ko jab se hai vafāoñ pe mirī
dil ġharīq-e-ġham-o-hirmāñ hai ḳhudā ḳhair kare
banda-e-hirs-o-havas aaj hai maz.hab kā naqīb
kitnā badlā huā insān hai ḳhudā ḳhair kare
jalva-e-dost ne vo sehr kiyā hai ki 'azīm'
dil sharāroñ se farozāñ hai ḳhudā ḳhair kare
pur-kashish jalwa-e-jaanan hai KHuda KHair kare
jite ji maut ka saman hai KHuda KHair kare
husn-e-be-parda KHiraman hai KHuda KHair kare
ek nae hashr ka saman hai KHuda KHair kare
naghma-e-zist ki be-saKHta lai ko sun kar
dard phir silsila-jumban hai KHuda KHair kare
har ishaara nae afkar ka aaina hai
har suKHan uqda-e-pechan hai KHuda KHair kare
jaane kis rang pe aa jae mera josh-e-junun
aamad-e-fasl-e-bahaaran hai KHuda KHair kare
jis tasawwur se ki ghabrai thi meri fitrat
phir wahi KHwab-e-pareshan hai KHuda KHair kare
iltibas aap ko jab se hai wafaon pe meri
dil ghariq-e-gham-o-hirman hai KHuda KHair kare
banda-e-hirs-o-hawas aaj hai mazhab ka naqib
kitna badla hua insan hai KHuda KHair kare
jalwa-e-dost ne wo sehr kiya hai ki 'azim'
dil shararon se farozan hai KHuda KHair kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.