purane log nae karobar dete hain
purāne log na.e kārobār dete haiñ
ḳhizāñ ḳharīd ke fasl-e-bahār dete haiñ
zarūr un ko mohabbat se vāsta hogā
jo ranj-o-ġham ke evaz ham ko pyaar dete haiñ
shab-e-visāl kī lazzat unheñ nasīb huī
jo intizār kī ghaḌiyāñ guzār dete haiñ
hamāre ashk mohabbat meñ qīmtī Thahre
ġham-e-hayāt kī qismat sañvār dete haiñ
milan kī rut pe bashar kyā daraḳht aur paude
sab apnī apnī qabā.eñ utaar dete haiñ
hamārī jaan kī qīmat chukā rahe haiñ vo
milā ke ḳhaak meñ musht-e-ġhubār dete haiñ
ham apne aap meñ ḳhud bā-vaqār haiñ 'āsī'
jo be-vaqār haiñ apnā vaqār dete haiñ
purane log nae karobar dete hain
KHizan KHarid ke fasl-e-bahaar dete hain
zarur un ko mohabbat se wasta hoga
jo ranj-o-gham ke ewaz hum ko pyar dete hain
shab-e-visal ki lazzat unhen nasib hui
jo intizar ki ghaDiyan guzar dete hain
hamare ashk mohabbat mein qimti Thahre
gham-e-hayat ki qismat sanwar dete hain
milan ki rut pe bashar kya daraKHt aur paude
sab apni apni qabaen utar dete hain
hamari jaan ki qimat chuka rahe hain wo
mila ke KHak mein musht-e-ghubar dete hain
hum apne aap mein KHud ba-waqar hain 'asi'
jo be-waqar hain apna waqar dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.