purane mohalle ka sunsan aangan
purāne mohalle kā sunsān āñgan
mujhe pā ke thā kitnā hairān āñgan
ye tahzīb ko paañv chalnā sikhā.eñ
sameTe haiñ sadiyoñ ke imkān āñgan
vo dīvār se jhāñktī shoḳh āñkheñ
vo pahre pe būḌhā nigahbān āñgan
koī jast meñ paar kartā hai chaukhaT
kisī ke liye ik bayābān āñgan
kisī ke liye pāya-e-taḳht hai ye
kisī ke liye ek zindān āñgan
sunā rafta rafta khañDar ho rahe haiñ
vo ābād galiyāñ vo gunjān āñgan
kidhar jaa.eñ tahzīb kī hijratoñ meñ
ye būḌhe daraḳht aur ye vīrān āñgan
purane mohalle ka sunsan aangan
mujhe pa ke tha kitna hairan aangan
ye tahzib ko panw chalna sikhaen
sameTe hain sadiyon ke imkan aangan
wo diwar se jhankti shoKH aankhen
wo pahre pe buDha nigahban aangan
koi jast mein par karta hai chaukhaT
kisi ke liye ek bayaban aangan
kisi ke liye paya-e-taKHt hai ye
kisi ke liye ek zindan aangan
suna rafta rafta khanDar ho rahe hain
wo aabaad galiyan wo gunjaan aangan
kidhar jaen tahzib ki hijraton mein
ye buDhe daraKHt aur ye viran aangan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.