purane peD ko mausam nai qabaen de
purāne peḌ ko mausam na.ī qabā.eñ de
guloñ meñ dafn kare reshmī ridā.eñ de
shab-e-visāl bhī manzil hai mere zauq-e-safar
mujhe visāl se aage kī intihā.ī de
maiñ ek dāna-e-pāmāl thā magar ai ḳhaak
ab ug rahā huuñ mire tan ko bhī qabā.eñ de
fasīl-e-shahr-e-sitam surḳh hotī jaatī hai
amīr-e-shahr hameñ shauq se sazā.eñ de
kareñ mushāhida gulzār aisī āñkhoñ se
nazar haTā.eñ to manzar hameñ sadā.eñ de
purane peD ko mausam nai qabaen de
gulon mein dafn kare reshmi ridaen de
shab-e-visal bhi manzil hai mere zauq-e-safar
mujhe visal se aage ki intihai de
main ek dana-e-pamal tha magar ai KHak
ab ug raha hun mere tan ko bhi qabaen de
fasil-e-shahr-e-sitam surKH hoti jati hai
amir-e-shahr hamein shauq se sazaen de
karen mushahida gulzar aisi aankhon se
nazar haTaen to manzar hamein sadaen de
- Book : Muasir (Pg. 233)
- Author : Habibullah
- Publication : Maktaba muasir 304 alfaisal palaza, Shahrah qaid-e-azam, lahore
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.