purane sab nazare ja rahe hain
purāne sab nazāre jā rahe haiñ
na.e manzar ubhāre jā rahe haiñ
udhar hai sard-mehrī aur idhar se
ishāroñ par ishāre jā rahe haiñ
safīna ho rahā hai ġharq-e-tūfāñ
nigāhoñ se kināre jā rahe haiñ
nahīñ bātin pe ab koī tavajjoh
faqat zāhir sañvāre jā rahe haiñ
shab-e-ġham meñ ruḳh-e-raushan ke jalve
añdheroñ ko nikhāre jā rahe haiñ
kahīñ bikhrī paḌī hai zulf 'afzal'
kahīñ gesū sañvāre jā rahe haiñ
purane sab nazare ja rahe hain
nae manzar ubhaare ja rahe hain
udhar hai sard-mehri aur idhar se
ishaaron par ishaare ja rahe hain
safina ho raha hai gharq-e-tufan
nigahon se kinare ja rahe hain
nahin baatin pe ab koi tawajjoh
faqat zahir sanware ja rahe hain
shab-e-gham mein ruKH-e-raushan ke jalwe
andheron ko nikhaare ja rahe hain
kahin bikhri paDi hai zulf 'afzal'
kahin gesu sanware ja rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.