purane zaKHm ko dil se miTaya bhi nahin jata
purāne zaḳhm ko dil se miTāyā bhī nahīñ jaatā
tirī chāhat ko auroñ se chhupāyā bhī nahīñ jaatā
tamīz-e-ḳhār-o-gul se maiñ huā vāqif nahīñ ab tak
kahāñ raushan-zamīrī hai dikhāyā bhī nahīñ jaatā
lagī ik aag hai har sū aziyyat aur nafrat kī
sulagtī aag ko mujh se bujhāyā bhī nahīñ jaatā
kahāñ kartā musalmāñ hai kisī kī ab nigahbānī
nafas ke haath luTne se bachāyā bhī nahīñ jaatā
nahīñ maqsūd hai 'mohsin' jahāñ meñ dil lagānā yuuñ
jahāñ meñ is haqīqat ko batāyā bhī nahīñ jaatā
purane zaKHm ko dil se miTaya bhi nahin jata
teri chahat ko auron se chhupaya bhi nahin jata
tamiz-e-KHar-o-gul se main hua waqif nahin ab tak
kahan raushan-zamiri hai dikhaya bhi nahin jata
lagi ek aag hai har su aziyyat aur nafrat ki
sulagti aag ko mujh se bujhaya bhi nahin jata
kahan karta musalman hai kisi ki ab nigahbani
nafas ke hath luTne se bachaya bhi nahin jata
nahin maqsud hai 'mohsin' jahan mein dil lagana yun
jahan mein is haqiqat ko bataya bhi nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.