purani naw ke taKHte pe dil banate hue
purānī naav ke taḳhte pe dil banāte hue
maiñ ro paḌūñ na koī ḳhvāb gungunāte hue
suhūlat aisī nahīñ hai ki ham bhī tum bhī mileñ
ufuq ke ḳhat pe zamīn āsmāñ milāte hue
ye maiñ tamannā tamannā pighal na jā.ūñ kahīñ
diye kī bujhtī huī lau se sharm khāte hue
jazīre vāloñ ne sīkhā hai apnī āñkhoñ se
tumhārā naam samundar meñ kaam aate hue
purani naw ke taKHte pe dil banate hue
main ro paDun na koi KHwab gungunate hue
suhulat aisi nahin hai ki hum bhi tum bhi milen
ufuq ke KHat pe zamin aasman milate hue
ye main tamanna tamanna pighal na jaun kahin
diye ki bujhti hui lau se sharm khate hue
jazire walon ne sikha hai apni aankhon se
tumhaara nam samundar mein kaam aate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.