pursa-dari ke fan mein taq nahin
pursa-dārī ke fan meñ taaq nahīñ
aisā piñjra huuñ jis meñ chaak nahīñ
tū bhī majbūr ho chukā hogā
in dinoñ maiñ bhī Thīk-Thāk nahīñ
ik muayyan kalām hai tujh se
ye zarūrat hai ishtiyāq nahīñ
roz aatī hai ik sadā mujh tak
āsmānoñ ke paar taak nahīñ
dasht kā daaġh banñe vaalā hai
ek vahshī jo dil kā paak nahīñ
aise bad-zauq bhī nahīñ haiñ ham
muñh lagāne ko tujh meñ ḳhaak nahīñ
yā tamannā tumhārī TūTegī
yā sitāroñ bharā tabāq nahīñ
aur piilā karo mirā chehra
yuuñ lage kuchh mujhe firāq nahīñ
pursa-dari ke fan mein taq nahin
aisa pinjra hun jis mein chaak nahin
tu bhi majbur ho chuka hoga
in dinon main bhi Thik-Thak nahin
ek muayyan kalam hai tujh se
ye zarurat hai ishtiyaq nahin
roz aati hai ek sada mujh tak
aasmanon ke par tak nahin
dasht ka dagh banne wala hai
ek wahshi jo dil ka pak nahin
aise bad-zauq bhi nahin hain hum
munh lagane ko tujh mein KHak nahin
ya tamanna tumhaari TuTegi
ya sitaron bhara tabaq nahin
aur pila karo mera chehra
yun lage kuchh mujhe firaq nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.