pusht-ha-pusht tujhe KHun pilaya lala
pusht-ha-pusht tujhe KHun pilaya lala
Rajeev Riyaz Pratapgarhi
MORE BYRajeev Riyaz Pratapgarhi
pusht-hā-pusht tujhe ḳhuun pilāyā laala
phir bhī rahtā hai tirā suud baqāyā laala
tū hī puujā bhī bahut kartā hai mandir mandir
aur tū ne hī ġharīboñ ko satāyā laala
haa.e bhī tujh ko ġharīboñ kī nahīñ lagtī hai
kaisā parsād shivāle meñ chaḌhāyā laala
draupadī ko to bachāyā thā kanhaiyā tū ne
kyoñ na mallāh kī beTī ko bachāyā laala
saare bhagvān tire haq meñ khaḌe rahte haiñ
mujh pe rahtā hai kisī bhuut kā saaya laala
pusht-ha-pusht tujhe KHun pilaya lala
phir bhi rahta hai tera sud baqaya lala
tu hi puja bhi bahut karta hai mandir mandir
aur tu ne hi gharibon ko sataya lala
hae bhi tujh ko gharibon ki nahin lagti hai
kaisa parsad shiwale mein chaDhaya lala
draupadi ko to bachaya tha kanhaiya tu ne
kyon na mallah ki beTi ko bachaya lala
sare bhagwan tere haq mein khaDe rahte hain
mujh pe rahta hai kisi bhut ka saya lala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.