puchh na humse kaise tujh tak naqd-e-dil-o-jaan lae hum
pūchh na ham se kaise tujh tak naqd-e-dil-o-jāñ laa.e ham
kin rāhoñ se bach kar nikle kis kis se katrā.e ham
raat akelā pā kar ḳhud ko maiḳhāne le aa.e ham
pī kar jhūme jhuum ke nāche der talak lahrā.e ham
duniyā vāloñ ne jiine kī sharheñ kaThin lagā.ī thiiñ
ḳhushbū ban kar phail ga.e ham bādal ban kar chhā.e ham
kaise kaise rishte joḌe ajnabiyoñ ne bhī ham se
sāgar tah se do ik motī jab se chun kar laa.e ham
shahr-e-dil meñ raat koī saudā-gar ban kar aayā thā
naqd-e-dil-o-jāñ sauñp ke us ko sub.h bahut pachhtā.e ham
tashbīhoñ ke rañg-mahal meñ koī na tujh ko jaan sakā
giit sunā kar ġhazleñ kah kar dīvāne kahlā.e ham
chandā jaisā ruup thā apnā phūloñ jaisī rañgat thī
tere ġham kī dhuup meñ jal kar kumlā.e murjhā.e ham
puchh na hum se kaise tujh tak naqd-e-dil-o-jaan lae hum
kin rahon se bach kar nikle kis kis se katrae hum
raat akela pa kar KHud ko maiKHane le aae hum
pi kar jhume jhum ke nache der talak lahrae hum
duniya walon ne jine ki sharhen kaThin lagai thin
KHushbu ban kar phail gae hum baadal ban kar chhae hum
kaise kaise rishte joDe ajnabiyon ne bhi hum se
sagar tah se do ek moti jab se chun kar lae hum
shahr-e-dil mein raat koi sauda-gar ban kar aaya tha
naqd-e-dil-o-jaan saunp ke us ko subh bahut pachhtae hum
tashbihon ke rang-mahal mein koi na tujh ko jaan saka
git suna kar ghazlen kah kar diwane kahlae hum
chanda jaisa rup tha apna phulon jaisi rangat thi
tere gham ki dhup mein jal kar kumlae murjhae hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.