puchhte hain haal taDpane ke baad
pūchhte haiñ haal taḌpāne ke ba.ad
ye karam hai har sitam Dhāne ke ba.ad
ġham ke saa.e se milā hai dil ko nuur
bijlī kaundī hai ghaTā chhā jaane ke ba.ad
ruḳh to kashtī kā hai sāhil kī taraf
dekhiye kyā biite Takrāne ke ba.ad
allāh allāh khīñchnā dāmān-e-dil
ziist ke kāñToñ meñ uljhāne ke ba.ad
mil sakā hai un ke ġham kā kuchh maza
bahjat-e-kaunain Thukrāne ke ba.ad
haa.e vo bebāk ġhārat-gar nigāh
jis ne luuTā dil ko chauñkāne ke ba.ad
barq-vash jalva bhī koī jalva hai
aah ye Dhalkānā tarsāne ke ba.ad
toḌ hī Daalo dil-e-kam-baḳht ko
joḌne baiThe ho darkāne ke ba.ad
aur bhaḌkāte ho is paanī se aag
ro rahe ho mujh ko sulgāne ke ba.ad
puchhte hain haal taDpane ke baad
ye karam hai har sitam Dhane ke baad
gham ke sae se mila hai dil ko nur
bijli kaundi hai ghaTa chha jaane ke baad
ruKH to kashti ka hai sahil ki taraf
dekhiye kya bite Takrane ke baad
allah allah khinchna daman-e-dil
zist ke kanTon mein uljhane ke baad
mil saka hai un ke gham ka kuchh maza
bahjat-e-kaunain Thukrane ke baad
hae wo bebak ghaarat-gar nigah
jis ne luTa dil ko chaunkane ke baad
barq-wash jalwa bhi koi jalwa hai
aah ye Dhalkana tarsane ke baad
toD hi Dalo dil-e-kam-baKHt ko
joDne baiThe ho darkane ke baad
aur bhaDkate ho is pani se aag
ro rahe ho mujh ko sulgane ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.