puchhte kya ho jo haal-e-shab-e-tanhai tha
pūchhte kyā ho jo hāl-e-shab-e-tanhā.ī thā
ruḳhsat-e-sabr thī yā tark-e-shakebā.ī thā
shab-e-furqat meñ dil-e-ġham-zada bhī paas na thā
vo bhī kyā raat thī kyā ālam-e-tanhā.ī thā
maiñ thā yā dīda-e-ḳhūñ-nāba-fishānī shab-e-hijr
un ko vaañ mashġhala-e-anjuman-ārā.ī thā
pāra-hā-e-dil-e-ḳhūnīñ kī talab thī paiham
shab jo āñkhoñ meñ mirī zauq-e-ḳhud-ārā.ī thā
rahm to ek taraf pāya-shanāsī dekho
qais ko kahte haiñ majnūn thā sahrā.ī thā
āñkheñ qātil sahī par zinda jo karnā hotā
lab pe ai jaan tū e'jāz masīhā.ī thā
ḳhuun ro ro diye bas do hī qadam meñ chhāle
yaañ vahī hausla-e-bādiya-paimā.ī thā
dushman-e-jāñ the udhar hijr meñ dard-o-ġham-o-rañj
aur idhar ek akelā tirā shaidā.ī thā
uñgliyāñ uThtī thiiñ mizhgāñ kī usī ruḳh paiham
jis taraf bazm meñ vo kāfir-e-tarsā.ī thā
kaun is raah se guzrā hai ki har naqsh-e-qadam
chashm-e-āshiq kī tarah us kā tamāshā.ī thā
ḳhuub vaqt aa.e nakīrain jazā degā ḳhudā
lahd-e-tīra meñ bhī kyā ālam-e-tanhā.ī thā
ham ne bhī hazrat-shiblī kī ziyārat kī thī
yuuñ to zāhir meñ muqaddas thā pa shaidā.ī thā
puchhte kya ho jo haal-e-shab-e-tanhai tha
ruKHsat-e-sabr thi ya tark-e-shakebai tha
shab-e-furqat mein dil-e-gham-zada bhi pas na tha
wo bhi kya raat thi kya aalam-e-tanhai tha
main tha ya dida-e-KHun-naba-fishani shab-e-hijr
un ko wan mashghala-e-anjuman-arai tha
para-ha-e-dil-e-KHunin ki talab thi paiham
shab jo aankhon mein meri zauq-e-KHud-arai tha
rahm to ek taraf paya-shanasi dekho
qais ko kahte hain majnun tha sahrai tha
aankhen qatil sahi par zinda jo karna hota
lab pe ai jaan tu e'jaz masihai tha
KHun ro ro diye bas do hi qadam mein chhaale
yan wahi hausla-e-baadiya-paimai tha
dushman-e-jaan the udhar hijr mein dard-o-gham-o-ranj
aur idhar ek akela tera shaidai tha
ungliyan uThti thin mizhgan ki usi ruKH paiham
jis taraf bazm mein wo kafir-e-tarsai tha
kaun is rah se guzra hai ki har naqsh-e-qadam
chashm-e-ashiq ki tarah us ka tamashai tha
KHub waqt aae nakirain jaza dega KHuda
lahd-e-tira mein bhi kya aalam-e-tanhai tha
hum ne bhi hazrat-shibli ki ziyarat ki thi
yun to zahir mein muqaddas tha pa shaidai tha
- Book : mahnaamaa kitaab numaa (Pg. 31)
- Author : khaalid mahmood
- Publication : maktaba jamia limited (may-2014)
- Edition : may-2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.