Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pura na shab-e-gham ka kabhi silsila hua

Arpit Sharma Arpit

pura na shab-e-gham ka kabhi silsila hua

Arpit Sharma Arpit

MORE BYArpit Sharma Arpit

    puurā na shab-e-ġham kabhī silsila huā

    vaqt-e-sahar uThā maiñ duā māñgtā huā

    har har nafas meñ lafz-e-mohabbat zabāñ pe hai

    mujh meñ na jaane kaun hai ye boltā huā

    paayā nahīñ kisī ne bhī ye rāz-e-kā.enāt

    ek shaḳhs kho gayā hai ḳhudā DhūñDhtā huā

    us se chhupā na pā.egā apnā hāl-e-dil

    āñkhoñ ā.īna hai abhī boltā huā

    bīmār thā to pūchhne aa.e nahīñ mizāj

    mayyat pe aaj us hai mela lagā huā

    kal chaudhvīñ raat bhī 'arpit' tamām raat

    bhaTkā huuñ apne aap ko maiñ DhūñDhtā huā

    pura na shab-e-gham ka kabhi silsila hua

    waqt-e-sahar uTha main dua mangta hua

    har har nafas mein lafz-e-mohabbat zaban pe hai

    mujh mein na jaane kaun hai ye bolta hua

    paya nahin kisi ne bhi ye raaz-e-kaenat

    ek shaKHs kho gaya hai KHuda DhunDhta hua

    us se chhupa na paega tu apna haal-e-dil

    aankhon ka aaina hai abhi bolta hua

    bimar tha to puchhne aae nahin mizaj

    mayyat pe aaj us ki hai mela laga hua

    kal chaudhwin ki raat bhi 'arpit' tamam raat

    bhaTka hun apne aap ko main DhunDhta hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now