pura na shab-e-gham ka kabhi silsila hua
puurā na shab-e-ġham kā kabhī silsila huā
vaqt-e-sahar uThā maiñ duā māñgtā huā
har har nafas meñ lafz-e-mohabbat zabāñ pe hai
mujh meñ na jaane kaun hai ye boltā huā
paayā nahīñ kisī ne bhī ye rāz-e-kā.enāt
vo shaḳhs kho gayā hai ḳhudā DhūñDhtā huā
us se chhupā na pā.egā tū apnā hāl-e-dil
āñkhoñ kā aa.ina hai abhī boltā huā
bīmār thā to pūchhne aa.e nahīñ mizāj
mayyat pe aaj us kī hai mela lagā huā
kal chaudhvīñ kī raat bhī 'arpit' tamām raat
bhaTkā huuñ apne aap ko maiñ DhūñDhtā huā
pura na shab-e-gham ka kabhi silsila hua
waqt-e-sahar uTha main dua mangta hua
har har nafas mein lafz-e-mohabbat zaban pe hai
mujh mein na jaane kaun hai ye bolta hua
paya nahin kisi ne bhi ye raaz-e-kaenat
wo shaKHs kho gaya hai KHuda DhunDhta hua
us se chhupa na paega tu apna haal-e-dil
aankhon ka aaina hai abhi bolta hua
bimar tha to puchhne aae nahin mizaj
mayyat pe aaj us ki hai mela laga hua
kal chaudhwin ki raat bhi 'arpit' tamam raat
bhaTka hun apne aap ko main DhunDhta hua
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.