purab des ki yaaden laya phir mausam ka tikha-pan
pūrab des kī yādeñ laayā phir mausam kā tīkhā-pan
mujh se pahroñ uns kare hai tanhā.ī kā sūnā-pan
dil ke rang mahal meñ jaise barsoñ koī na jhāñkā ho
tasvīroñ kī be-nūr āñkheñ shīshā-shishā dhuñdlā-pan
kitnī baar lahū royā hai kitnī baar jale haiñ charāġh
kitne ġhamoñ kī aañch meñ nikhrā dard kā mīThā mīThā-pan
ham Thahre darvesh janam se pyaar kiyā to aa baiThe
ham se kyā ye tīkhī nazreñ ham se kyā begāna-pan
anjāne logoñ tak pahuñchā zikr tumhārī chāhat kā
galī galī mash.hūr huā hai 'māhir' kā dīvāna-pan
purab des ki yaaden laya phir mausam ka tikha-pan
mujh se pahron uns kare hai tanhai ka suna-pan
dil ke rang mahal mein jaise barson koi na jhanka ho
taswiron ki be-nur aankhen shisha-shisha dhundla-pan
kitni bar lahu roya hai kitni bar jale hain charagh
kitne ghamon ki aanch mein nikhra dard ka miTha miTha-pan
hum Thahre darwesh janam se pyar kiya to aa baiThe
hum se kya ye tikhi nazren hum se kya begana-pan
anjaane logon tak pahuncha zikr tumhaari chahat ka
gali gali mashhur hua hai 'mahir' ka diwana-pan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.