pure chand ki saj dhaj hai shahzadon wali
puure chāñd kī saj dhaj hai shahzādoñ vaalī
kaisī ajiib ghaḌī hai nek irādoñ vaalī
na.ī na.ī sī aag hai yā phir kaun hai vo
piile phūloñ gahre surḳh libādoñ vaalī
bharī raheñ ye galiyāñ phuul parindoñ se
sajī rahe tāroñ se taaq murādoñ vaalī
āñkheñ haiñ aur dhuul bharā sannāTā hai
guzar ga.ī hai ajab savārī yādoñ vaalī
pure chand ki saj dhaj hai shahzadon wali
kaisi ajib ghaDi hai nek iradon wali
nai nai si aag hai ya phir kaun hai wo
pile phulon gahre surKH libaadon wali
bhari rahen ye galiyan phul parindon se
saji rahe taron se taq muradon wali
aankhen hain aur dhul bhara sannaTa hai
guzar gai hai ajab sawari yaadon wali
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 26)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.