pyale mein jo pani hai
pyāle meñ jo paanī hai
dariyā kī hairānī hai
raat bhare mashkīze se
ham ne lau chhalkānī hai
bas ham donoñ zinda haiñ
baaqī duniyā faanī hai
hañste mahakte jañgal haiñ
harī-bharī vīrānī hai
kueñ kī tah meñ hañstā huā
ek sitāra paanī hai
tum ne sahrā dekhā hai
ham ne retī chhānī hai
nayā libās pahan kar bhī
duniyā vahī purānī hai
ghar meñ raat akelī hai
sehn meñ raat kī raanī hai
lipTī huī do lahreñ haiñ
Thahrī huī ravānī hai
pyale mein jo pani hai
dariya ki hairani hai
raat bhare mashkize se
hum ne lau chhalkani hai
bas hum donon zinda hain
baqi duniya fani hai
hanste mahakte jangal hain
hari-bhari virani hai
kuen ki tah mein hansta hua
ek sitara pani hai
tum ne sahra dekha hai
hum ne reti chhani hai
naya libas pahan kar bhi
duniya wahi purani hai
ghar mein raat akeli hai
sehn mein raat ki rani hai
lipTi hui do lahren hain
Thahri hui rawani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.