pyar hai to gila zaruri hai
pyaar hai to gila zarūrī hai
talḳh-o-shīrīñ maza zarūrī hai
be-usūlī meñ itmīnān kahāñ
ziist meñ zābta zarūrī hai
hal masā.il kā DhūñDne ke liye
bāhamī mashvara zarūrī hai
dūsroñ ko samajhne se pahle
ḳhud ko hī jānñā zarūrī hai
shar se bachne ke vāste yaaro
ḳhair kā rāsta zarūrī hai
log milte haiñ sab mohabbat se
dostī ho ye kyā zarūrī hai
dostoñ ke alāva apne paas
dushmanoñ kā patā zarūrī hai
dil se kartā 'azīz' kuchh bhī nahīñ
us ko terī razā zarūrī hai
pyar hai to gila zaruri hai
talKH-o-shirin maza zaruri hai
be-usuli mein itminan kahan
zist mein zabta zaruri hai
hal masail ka DhunDne ke liye
bahami mashwara zaruri hai
dusron ko samajhne se pahle
KHud ko hi jaanna zaruri hai
shar se bachne ke waste yaro
KHair ka rasta zaruri hai
log milte hain sab mohabbat se
dosti ho ye kya zaruri hai
doston ke alawa apne pas
dushmanon ka pata zaruri hai
dil se karta 'aziz' kuchh bhi nahin
us ko teri raza zaruri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.