pyar ka ek pal sukun-e-zindagi de jaega
pyaar kā ik pal sukūn-e-zindagī de jā.egā
ḳhatm jo hone na paa.e vo ḳhushī de jā.egā
vo ḳhulūs-o-mehr kā paikar banām-e-dostāñ
dushmanoñ ko bhī shu.ūr-e-dostī de jā.egā
husn-e-fitrat jalva-gar ho kar yaqīnan ik din
rañg kaliyoñ ko guloñ ko dilkashī de jā.egā
aa.egā vo din hamārī zindagī meñ bhī zarūr
jo añdheroñ ko miTā kar raushnī de jā.egā
vo bhī lamha aa.egā 'tābāñ' rah-e-hastī meñ jo
tere pazhmurda laboñ ko ko de jā.egā
pyar ka ek pal sukun-e-zindagi de jaega
KHatm jo hone na pae wo KHushi de jaega
wo KHulus-o-mehr ka paikar banam-e-dostan
dushmanon ko bhi shuur-e-dosti de jaega
husn-e-fitrat jalwa-gar ho kar yaqinan ek din
rang kaliyon ko gulon ko dilkashi de jaega
aaega wo din hamari zindagi mein bhi zarur
jo andheron ko miTa kar raushni de jaega
wo bhi lamha aaega 'taban' rah-e-hasti mein jo
tere pazhmurda labon ko ko de jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.