pyar karti hai magar phir bhi mukar sakti hai
pyaar kartī hai magar phir bhī mukar saktī hai
kyā bharosa hai kisī aur pe mar saktī hai
kyā samajhtī ho ki bāñdhā hai mujhe bandhan meñ
ye añgūThī hai mirī jaan utar saktī hai
chhūT saktī hai tire gaañv kī miTTī mujh se
ye qayāmat bhī kisī roz guzar saktī hai
chāñd ne jhiil ke bistar pe jo karvaT badlī
chāñdnī TuuT ke paanī meñ bikhar saktī hai
ham ne bas pyaar kiyā naam likhe sochā nahīñ
Diary peḌ kī badnām bhī kar saktī hai
ahd-e-kam-fahm kī ujlat hai ishāra 'rāhib'
raushnī chaak pe zulmat ko bhī dhar saktī hai
pyar karti hai magar phir bhi mukar sakti hai
kya bharosa hai kisi aur pe mar sakti hai
kya samajhti ho ki bandha hai mujhe bandhan mein
ye anguThi hai meri jaan utar sakti hai
chhuT sakti hai tere ganw ki miTTi mujh se
ye qayamat bhi kisi roz guzar sakti hai
chand ne jhil ke bistar pe jo karwaT badli
chandni TuT ke pani mein bikhar sakti hai
hum ne bas pyar kiya nam likhe socha nahin
Diary peD ki badnam bhi kar sakti hai
ahd-e-kam-fahm ki ujlat hai ishaara 'rahib'
raushni chaak pe zulmat ko bhi dhar sakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.