pyar ke dip bujhe amn ke aiwan gire
pyaar ke diip bujhe amn ke aivān gire
dukh ke pātāl meñ phir kyoñ na ye insān gire
shīsha-e-dil pe kuchh is tarh paḌī zarb-e-alam
jaise jhoñke se havā ke koī guldān gire
zehn amvāj-e-ḳhayālāt meñ yuuñ Duub gayā
gahre tālāb meñ jaise koī chaTTān gire
ham ne vo daur bhī dekhā ki sar-e-shahr-e-vafā
tesha-e-ġham se tamannāoñ ke aivān gire
pyaar ik aag kā dariyā hai ye sab ‘ilm meñ thā
is ko kyā kahiye ki ham ban ke ḳhud anjān gire
ham vahāñ se bhī guzar aa.e junūñ meñ 'vāhid'
Thokareñ khā ke jahāñ sāhib-e-‘irfān gire
pyar ke dip bujhe amn ke aiwan gire
dukh ke patal mein phir kyon na ye insan gire
shisha-e-dil pe kuchh is tarh paDi zarb-e-alam
jaise jhonke se hawa ke koi guldan gire
zehn amwaj-e-KHayalat mein yun Dub gaya
gahre talab mein jaise koi chaTTan gire
hum ne wo daur bhi dekha ki sar-e-shahr-e-wafa
tesha-e-gham se tamannaon ke aiwan gire
pyar ek aag ka dariya hai ye sab ‘ilm mein tha
is ko kya kahiye ki hum ban ke KHud anjaan gire
hum wahan se bhi guzar aae junun mein 'wahid'
Thokaren kha ke jahan sahib-e-‘irfan gire
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.