pyar ki rah mein aise bhi maqam aate hain
pyaar kī raah meñ aise bhī maqām aate haiñ
sirf aañsū jahāñ insān ke kaam aate haiñ
un kī āñkhoñ se rakhe kyā koī ummīd-e-karam
pyaas miT jaa.e to gardish meñ vo jaam aate haiñ
zindagī ban ke vo chalte haiñ mirī saañs ke saath
un ko aise ka.ī andāz-e-ḳhirām aate haiñ
ham na chāheñ to kabhī shaam ke saa.e na Dhaleñ
ham taḌapte haiñ to sub.hoñ ke salām aate haiñ
ham pe ho jaa.eñ na kuchh aur bhī rāteñ bhārī
yaad aksar vo hameñ ab sar-e-shām aate haiñ
chhin ga.e ham se jo hālāt kī rāhoñ meñ 'qatīl'
un hasīnoñ ke hameñ ab bhī payām aate haiñ
pyar ki rah mein aise bhi maqam aate hain
sirf aansu jahan insan ke kaam aate hain
un ki aankhon se rakhe kya koi ummid-e-karam
pyas miT jae to gardish mein wo jam aate hain
zindagi ban ke wo chalte hain meri sans ke sath
un ko aise kai andaz-e-KHiram aate hain
hum na chahen to kabhi sham ke sae na Dhalen
hum taDapte hain to subhon ke salam aate hain
hum pe ho jaen na kuchh aur bhi raaten bhaari
yaad aksar wo hamein ab sar-e-sham aate hain
chhin gae hum se jo haalat ki rahon mein 'qatil'
un hasinon ke hamein ab bhi payam aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.