pyar ki tere nishani hae hae
pyaar kī tere nishānī haa.e haa.e
merī afsurda javānī haa.e haa.e
jal rahā huuñ kab se apnī aag meñ
soz-e-ālām-e-nihānī haa.e haa.e
kah rahe haiñ ye mire mū-e-safed
kyā huī terī javānī haa.e haa.e
sāqiyā ḳhālis pilā ḳhālis pilā
aag meñ shāmil ho paanī haa.e haa.e
thā koī pahlū meñ gardish meñ thā jaam
kyā thā daur-e-shādmānī haa.e haa.e
dil ḳhushī kā thā jo gahvāra kabhī
ġham kī hai ab rājdhānī haa.e haa.e
pūchhnā us kā vo mujh se hāl-e-dil
mere ashkoñ kī ravānī haa.e haa.e
ab vo sub.hoñ meñ kahāñ hai dilkashī
ab kahāñ shāmeñ suhānī haa.e haa.e
un ke lab par bhī tabassum aa gayā
'soz' kī shīrīñ-bayānī haa.e haa.e
pyar ki tere nishani hae hae
meri afsurda jawani hae hae
jal raha hun kab se apni aag mein
soz-e-alam-e-nihani hae hae
kah rahe hain ye mere mu-e-safed
kya hui teri jawani hae hae
saqiya KHalis pila KHalis pila
aag mein shamil ho pani hae hae
tha koi pahlu mein gardish mein tha jam
kya tha daur-e-shadmani hae hae
dil KHushi ka tha jo gahwara kabhi
gham ki hai ab rajdhani hae hae
puchhna us ka wo mujh se haal-e-dil
mere ashkon ki rawani hae hae
ab wo subhon mein kahan hai dilkashi
ab kahan shamen suhani hae hae
un ke lab par bhi tabassum aa gaya
'soz' ki shirin-bayani hae hae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.