pyar tumhi se karta hai
pyaar tumhī se kartā hai
ye dil tum par martā hai
rātoñ kā ye sannāTā
mujh se bāteñ kartā hai
tujh se bichhaḌ kar kyā batlā.eñ
kaise vaqt guzartā hai
koī sulagte mausam meñ
ThanDī aaheñ bhartā hai
dil ke ā.īne meñ kaun
bantā aur sañvartā hai
ḳhāka-e-jāñ meñ pyaar tirā
rang anokhe bhartā hai
dard kā maarā dil 'dānish'
tanhā.ī se Dartā hai
pyar tumhi se karta hai
ye dil tum par marta hai
raaton ka ye sannaTa
mujh se baaten karta hai
tujh se bichhaD kar kya batlaen
kaise waqt guzarta hai
koi sulagte mausam mein
ThanDi aahen bharta hai
dil ke aaine mein kaun
banta aur sanwarta hai
KHaka-e-jaan mein pyar tera
rang anokhe bharta hai
dard ka mara dil 'danish'
tanhai se Darta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.