pyare pyare yugon mein aae pyare pyare log
pyāre pyāre yugoñ meñ aa.e pyāre pyāre log
is bechāre daur meñ janme ham bechāre log
har chehre par khiñchī huī haiñ thakan kī rekhā.eñ
jiit kā ik pal khoj rahe haiñ haare haare log
bhor bha.ī phir sāñjh bha.ī phir bhor bha.ī phir sāñjh
samay chakkar meñ bañdhe hue haiñ sāñjh sakāre log
aatī hai itihās se un ke bhāñt bhāñt kī baas
har miTTī ko sūñgh chuke haiñ ye banjāre log
had-bandī kī rekhā toḌeñ aao gale lag jaa.eñ
idhar tumhāre log khaḌe haiñ udhar hamāre log
is sāvan meñ har āñgan meñ dukhoñ kī hai barsāt
ab ke koī bach nahīñ paayā bhīge saare log
pyare pyare yugon mein aae pyare pyare log
is bechaare daur mein janme hum bechaare log
har chehre par khinchi hui hain thakan ki rekhaen
jit ka ek pal khoj rahe hain haare haare log
bhor bhai phir sanjh bhai phir bhor bhai phir sanjh
samay chakkar mein bandhe hue hain sanjh sakare log
aati hai itihas se un ke bhant bhant ki bas
har miTTi ko sungh chuke hain ye banjare log
had-bandi ki rekha toDen aao gale lag jaen
idhar tumhaare log khaDe hain udhar hamare log
is sawan mein har aangan mein dukhon ki hai barsat
ab ke koi bach nahin paya bhige sare log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.