pyari suhati hai abhran sun bhaari
pyārī suhātī hai abhran suuñ bhārī
tū jaagā kare man meñ chhand suuñ pyārī
uu chanchal kuuñ dekhiyā huuñ ho gun meñ māhir
bhulā.ī hai tū āshiqāñ kuuñ uu taarī
mohibbāñ ke man libde haiñ tuj suuñ daa.em
ghulī un nayan meñ birah kī ḳhumārī
madan baan sānde hai chhandāñ suuñ mohan
hue āshiqāñ dil ke us the shikārī
nayan suuñ nayan laakh mohī huuñ piv par
ki tan man apas us ke añg par the vaarī
sajan ke charan par rakhī siis apnā
jagat kuuñ piyā dhyān meñ maiñ bisārī
nabī sadqe 'qubtā' pachhāñyā hai tuj kuuñ
ki sab meñ hai tuuñ us kī man kī pyārī
pyari suhati hai abhran sun bhaari
tu jaga kare man mein chhand sun pyari
u chanchal kun dekhiya hun ho gun mein mahir
bhulai hai tu aashiqan kun u tari
mohibban ke man libde hain tuj sun daem
ghuli un nayan mein birah ki KHumari
madan ban sande hai chhandan sun mohan
hue aashiqan dil ke us the shikari
nayan sun nayan lakh mohi hun piw par
ki tan man apas us ke ang par the wari
sajan ke charan par rakhi sis apna
jagat kun piya dhyan mein main bisari
nabi sadqe 'qubta' pachhanya hai tuj kun
ki sab mein hai tun us ki man ki pyari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.