qamat-e-dil-ruba par shabab aa gaya
qāmat-e-dil-rubā par shabāb aa gayā
yā savā neze par āftāb aa gayā
jaagī jaagī un āñkhoñ kā aalam na pūchh
sāmne ek jām-e-sharāb aa gayā
ik nigāh-e-mohabbat kī taḳhmīr meñ
sab simaT kar jahān-e-ḳharāb aa gayā
ye chale vo baḌhe vo javāñ ho ga.e
chand lamhoñ meñ yaum-ul-hisāb aa gayā
jhuum uThī ek armāñ-bharī zindagī
jab havā.eñ chalīñ jab sahāb aa gayā
aa.iye aa.iye is taraf vo 'nushūr'
shā.er-e-yādgār-e-shabāb aa gayā
qamat-e-dil-ruba par shabab aa gaya
ya sawa neze par aaftab aa gaya
jagi jagi un aankhon ka aalam na puchh
samne ek jam-e-sharab aa gaya
ek nigah-e-mohabbat ki taKHmir mein
sab simaT kar jahan-e-KHarab aa gaya
ye chale wo baDhe wo jawan ho gae
chand lamhon mein yaum-ul-hisab aa gaya
jhum uThi ek arman-bhari zindagi
jab hawaen chalin jab sahab aa gaya
aaiye aaiye is taraf wo 'nushur'
shaer-e-yaadgar-e-shabab aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.