qamat-e-yar ko hum yaad kiya karte hain
qāmat-e-yār ko ham yaad kiyā karte haiñ
sarv ko sadqe meñ āzād kiyā karte haiñ
zulf-e-shab-rañg ko ham yaad kiyā karte haiñ
shab-e-tārīk meñ fariyād kiyā karte haiñ
nigah-e-yār ko ham yaad kiyā karte haiñ
dekh kar barq ko fariyād kiyā karte haiñ
kūcha-e-yār ko ham yaad kiyā karte haiñ
jā ke gulzār meñ fariyād kiyā karte haiñ
ghar jo be-yār hai vīrāñ to tasavvur meñ mudām
ḳhāna-e-dil ko ham ābād kiyā karte haiñ
rashk se naam nahīñ lete ki sun le na koī
dil hī dil meñ use ham yaad kiyā karte haiñ
guzre haiñ kūcha-e-kākul se sabā ke jhoñke
nik.hat-e-gul ko jo barbād kiyā karte haiñ
hote haiñ jaate hī maktab meñ parī-rū ḳhūñ-rez
kyā ye jallādoñ ko ustād kiyā karte haiñ
phūñk deñ nāla-e-sozāñ se agar chāheñ qafas
ham faqat ḳhātir-e-sayyād kiyā karte haiñ
hotī hai āfat-e-ḳhat qahr-e-ḳhudā se nāzil
ye sanam ham pe jo bedād kiyā karte haiñ
malak-ul-maut agar kahiye unheñ to hai bajā
qatl be-teġh parī-zād kiyā karte haiñ
tū vo sayyād hai jo vaar ke tujh par lākhoñ
tā.er-e-rūh ko āzād kiyā karte haiñ
intiqām is kā kahīñ le na falak Dartā huuñ
jhūTe va.adoñ se jo vo shaad kiyā karte haiñ
terā dīvān hai kyā sāmne un ke 'nāsiḳh'
jo ki qur.ān pe īrād kiyā karte haiñ
qamat-e-yar ko hum yaad kiya karte hain
sarw ko sadqe mein aazad kiya karte hain
zulf-e-shab-rang ko hum yaad kiya karte hain
shab-e-tarik mein fariyaad kiya karte hain
nigah-e-yar ko hum yaad kiya karte hain
dekh kar barq ko fariyaad kiya karte hain
kucha-e-yar ko hum yaad kiya karte hain
ja ke gulzar mein fariyaad kiya karte hain
ghar jo be-yar hai viran to tasawwur mein mudam
KHana-e-dil ko hum aabaad kiya karte hain
rashk se nam nahin lete ki sun le na koi
dil hi dil mein use hum yaad kiya karte hain
guzre hain kucha-e-kakul se saba ke jhonke
nikhat-e-gul ko jo barbaad kiya karte hain
hote hain jate hi maktab mein pari-ru KHun-rez
kya ye jalladon ko ustad kiya karte hain
phunk den nala-e-sozan se agar chahen qafas
hum faqat KHatir-e-sayyaad kiya karte hain
hoti hai aafat-e-KHat qahr-e-KHuda se nazil
ye sanam hum pe jo bedad kiya karte hain
malak-ul-maut agar kahiye unhen to hai baja
qatl be-tegh pari-zad kiya karte hain
tu wo sayyaad hai jo war ke tujh par lakhon
taer-e-ruh ko aazad kiya karte hain
intiqam is ka kahin le na falak Darta hun
jhuTe wadon se jo wo shad kiya karte hain
tera diwan hai kya samne un ke 'nasiKH'
jo ki quran pe irad kiya karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.