qamat ko tere sarw sanobar nahin kaha
qāmat ko tere sarv sanobar nahīñ kahā
jaisā bhī tū thā us se to baḌh kar nahīñ kahā
us se mile to zom-e-takallum ke bāvajūd
jo soch kar ga.e vahī aksar nahīñ kahā
itnī muravvateñ to kahāñ dushmanoñ meñ thiiñ
yāroñ ne jo kahā mire muñh par nahīñ kahā
mujh sā gunāhgār sar-e-dār kah gayā
vaa.iz ne jo suḳhan sar-e-mimbar nahīñ kahā
barham bas is ḳhatā pe amīrān-e-shahr haiñ
in jauhaḌoñ ko maiñ ne samundar nahīñ kahā
ye log merī fard-e-amal dekhte haiñ kyuuñ
maiñ ne 'farāz' ḳhud ko payambar nahīñ kahā
qamat ko tere sarw sanobar nahin kaha
jaisa bhi tu tha us se to baDh kar nahin kaha
us se mile to zom-e-takallum ke bawajud
jo soch kar gae wahi aksar nahin kaha
itni murawwaten to kahan dushmanon mein thin
yaron ne jo kaha mere munh par nahin kaha
mujh sa gunahgar sar-e-dar kah gaya
waiz ne jo suKHan sar-e-mimbar nahin kaha
barham bas is KHata pe amiran-e-shahr hain
in jauhaDon ko main ne samundar nahin kaha
ye log meri fard-e-amal dekhte hain kyun
main ne 'faraaz' KHud ko payambar nahin kaha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.