qasid tere bar bar aae
qāsid tire baar baar aa.e
ek hafte meñ tiin chaar aa.e
qātil pe jo sar ko vaar aa.e
bār-e-tan-e-zār utaar aa.e
āshuftagī ho nasīb-e-dushman
tum zulf na kyuuñ sañvār aa.e
ab kī jo na chhūTe fasl-e-gul meñ
phir dekhiye kab bahār aa.e
dil meñ nahīñ us kī kuchh kudūrat
ā.īna pe kyā ġhubār aa.e
jholī rahī apnī gul se ḳhālī
dāman meñ ulajh ke ḳhaar aa.e
gul khānā mirā tap-e-alam se
bulbul jo sune buḳhār aa.e
aayā jo 'saḳhī' mah-e-moharram
ham bazm meñ ashk-bār aa.e
qasid tere bar bar aae
ek hafte mein tin chaar aae
qatil pe jo sar ko war aae
bar-e-tan-e-zar utar aae
aashuftagi ho nasib-e-dushman
tum zulf na kyun sanwar aae
ab ki jo na chhuTe fasl-e-gul mein
phir dekhiye kab bahaar aae
dil mein nahin us ki kuchh kudurat
aaina pe kya ghubar aae
jholi rahi apni gul se KHali
daman mein ulajh ke KHar aae
gul khana mera tap-e-alam se
bulbul jo sune buKHar aae
aaya jo 'saKHi' mah-e-moharram
hum bazm mein ashk-bar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.