qadah liye hue gul misl-e-baada-KHwar aaya
qadah liye hue gul misl-e-bāda-ḳhvār aayā
ḳhizāñ chaman se ga.ī mausam-e-bahār aayā
kisī tarīq se dil meñ agar ġhubār aayā
huā yaqīn ye mujh ko vo shah-savār aayā
tamām 'umr yuuñ hī ho ga.ī basar apnī
shab-e-firāq ga.ī roz-e-intizār aayā
gul-e-savār-o-payāda shikast khā ga.e sab
chaman meñ jab tan-e-tanhā vo shahsavār aayā
ḳhabar kare koī zāhid ko aa.e bahr-e-madad
shikast-e-tauba ko phir mausam-e-bahār aayā
sharāb kyoñ na chale fasl-e-gul meñ ai zāhid
ki nahreñ jaarī huiiñ mausam-e-bahār aayā
diye falak ne mire sar ko kaTte hī gul-dāġh
gila nahīñ koī paañv tale jo ḳhaar aayā
chaman meñ koī gul-e-tar jo shāḳh par dekhā
to mujh ko yaad vo mahbūb nai-savār aayā
kabhī jo sair-e-chaman ko vo nai-savār gayā
gul-e-piyāda ye samjhe ki gul-savār aayā
lab us ke pista zaqan seb āñkheñ haiñ bādām
khule jo daañt hañsī meñ nazar anaar aayā
jo gosh-e-gul na sune baaġh meñ to kyā chāra
qafas se nāla-e-bulbul hazār baar aayā
tirī savārī meñ kab panj shāḳhe haiñ ai sarv
jilau meñ sehn-e-gulistāñ se hai chinār aayā
shikast paa.ī hai tauba kī tarah us ko bhī
hamāre paas jo ai mai-kasho ḳhumār aayā
ye nāzukī ke haiñ mā'nī ke baaġh meñ vo gul
qarīb ātish-e-gul jo gayā buḳhār aayā
kabhī na qatra diyā tū ne sāqiyā mujh ko
udhar na ātish-e-mai kā koī sharār aayā
misāl-e-sañg-e-garāñ jaañ nahīñ jo baiTh rahūñ
ki is jahān meñ huuñ sūrat-e-sharār aayā
lagā jo tiir tirā sīna-e-mushabbak meñ
maiñ ḳhush huā ki mire daam meñ shikār aayā
dikhā ke baaġh meñ āñkheñ chaḌhī huī apnī
vo nashsha dīda-e-nargis se aaj utaar aayā
qadah liye hue gul misl-e-baada-KHwar aaya
KHizan chaman se gai mausam-e-bahaar aaya
kisi tariq se dil mein agar ghubar aaya
hua yaqin ye mujh ko wo shah-sawar aaya
tamam 'umr yun hi ho gai basar apni
shab-e-firaq gai roz-e-intizar aaya
gul-e-sawar-o-payaada shikast kha gae sab
chaman mein jab tan-e-tanha wo shahsawar aaya
KHabar kare koi zahid ko aae bahr-e-madad
shikast-e-tauba ko phir mausam-e-bahaar aaya
sharab kyon na chale fasl-e-gul mein ai zahid
ki nahren jari huin mausam-e-bahaar aaya
diye falak ne mere sar ko kaTte hi gul-dagh
gila nahin koi panw tale jo KHar aaya
chaman mein koi gul-e-tar jo shaKH par dekha
to mujh ko yaad wo mahbub nai-sawar aaya
kabhi jo sair-e-chaman ko wo nai-sawar gaya
gul-e-piyaada ye samjhe ki gul-sawar aaya
lab us ke pista zaqan seb aankhen hain baadam
khule jo dant hansi mein nazar anar aaya
jo gosh-e-gul na sune bagh mein to kya chaara
qafas se nala-e-bulbul hazar bar aaya
teri sawari mein kab panj shaKHe hain ai sarw
jilau mein sehn-e-gulistan se hai chinar aaya
shikast pai hai tauba ki tarah us ko bhi
hamare pas jo ai mai-kasho KHumar aaya
ye nazuki ke hain ma'ni ke bagh mein wo gul
qarib aatish-e-gul jo gaya buKHar aaya
kabhi na qatra diya tu ne saqiya mujh ko
udhar na aatish-e-mai ka koi sharar aaya
misal-e-sang-e-garan jaan nahin jo baiTh rahun
ki is jahan mein hun surat-e-sharar aaya
laga jo tir tera sina-e-mushabbak mein
main KHush hua ki mere dam mein shikar aaya
dikha ke bagh mein aankhen chaDhi hui apni
wo nashsha dida-e-nargis se aaj utar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.