qadam qadam hai andha moD
qadam qadam hai andhā moḌ
dekh ke apnī āñkheñ phoḌ
kabhī to aañkh kī pyaas bujhā
kabhī to dil kā patthar toḌ
himmat hai to chaurāhe meñ
apnī chup kā bhāñDā phoḌ
dil kī tamannā dil meñ rakh
band galī kā rasta chhoḌ
tū bhī 'tasavvur' ḳhvāb vo dekh
aañkh se jo le niiñd nichoḌ
qadam qadam hai andha moD
dekh ke apni aankhen phoD
kabhi to aankh ki pyas bujha
kabhi to dil ka patthar toD
himmat hai to chaurahe mein
apni chup ka bhanDa phoD
dil ki tamanna dil mein rakh
band gali ka rasta chhoD
tu bhi 'tasawwur' KHwab wo dekh
aankh se jo le nind nichoD
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.